college aane se pehle kabhi itni late jaagne ka socha bhi nahi tha,
7 baje ke school ke liye 6 baje uthte the aur daily jaate the,
magar wo alam ab na raha
ek chhoti si duniya thi wo pyaari si,
khushiyo ka tha jharna wo,
ab aisi jagah bethe hai jaha,
khud hi ki awaaz puchti hai kyu tum aaj yu khamosh ho ???
wo din yaad agaya mujhe
jab ham activa uthaye bhagte the..
raaste me jo mle unhe saath betha lete the.. seeti bajte hi ...
assembly me line lagate the aur school ki shuruat me hi chhoti chhoti shetaniya kar jaate
pata ni ye kya hai yaha naa kabhi mann hota hai na kabhi tabiyat hoti hai,
bas colg me rehne ki ab himmat nahi hoti hai,
14 saal school ke kya 4 saal college ke bhar sakte hai?
kya the jo dost waha wo zindagi me kabhi ban sakte hai??
the wo pal zindagi ke, kaun kaise bhulaye bhul sakta hai...???
2 comments:
Jaag uthe wo saare manzar,jaag uthiin wo yaadein saari............
sameta jo un yaadon ko humne,jaag uthiin deewaarein saari.............
Chal diye zinda rahne ko hum to in raahon par yun hi......
Maazi ko jo palat ke dekha tham sii gayi bas fiza ye saari
Bachpan ki sabse achchi yaadein bhi aaj yaad aane par bahot dard deti hain......lekin phir bhi aaj chaah kar bhi koi khushi wo khushi nahi deti jo wo dard bhari yaadein deti hain.....Wo yaadein aane pe aisi lagti hain maano aankhon mein sau diye jal uthe hon aur unki roshni mein doob jayein hum........Aaj sab begaana lagta hai , tab sab apna lagta tha.......Aaj sab sapna lagta hai ......tab sab suhana lagta tha :(
Post a Comment